Roza Mein Na'Jaez aur Roza Tornay Walay Amoor(Batein) Gheebat kerna, jhoot bolna, gali dena, larayee jaghra kerna rozay ki haalat mein ba'darja-e-awal na'jaez hein. "Hazrat Abu Hurraira Razi Allah Anho sey rawayat hai Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya:- Jo Shakhs (Roza Rakh ker) jhoot bolna aur iss per amal kerna tarak na karay(na chorray) toh Allah Ta'ala ko iss baat ki koi haajat nahi keh woh khana peena chorr dey" (Sahih Bukhari) Roza mein insaan ko khaney peenay aur azdawaji taaluqat sey mana kiya gaya hai, halanke ye jaez aur halal hai. Agar rozay mein inn jaez aur halal ke istamaal sey roza toot jae to wo batein jo ke Islam mein hein hi haraam, unn ke kernay sey rozay ka kiya bachta ho ga? Iss liye jis Allah ke hukam sey halaal chorr rahe hein ussi ke hukam sey haram sey bhi rukk jaein. "Hazrat Abu Hurraira Razi Allah Anho sey rawayat hai Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya:- Roza dhaal hai le'haaza jab ko...