Pages

Monday 6 August 2012

Roza Mein Na'Jaez aur Roza Tornay Walay Amoor(Batein)


Roza Mein Na'Jaez aur Roza Tornay Walay Amoor(Batein)

Gheebat kerna, jhoot bolna, gali dena, larayee jaghra kerna rozay ki haalat mein ba'darja-e-awal na'jaez hein.

"Hazrat Abu Hurraira Razi Allah Anho sey rawayat hai Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya:- Jo Shakhs (Roza Rakh ker) jhoot bolna aur iss per amal kerna tarak na karay(na chorray) toh Allah Ta'ala ko iss baat ki koi haajat nahi keh woh khana peena chorr dey" (Sahih Bukhari)

Roza mein insaan ko khaney peenay aur azdawaji taaluqat sey mana kiya gaya hai, halanke ye jaez aur halal hai. Agar rozay mein inn jaez aur halal ke istamaal sey roza toot jae to wo batein jo ke Islam mein hein hi haraam, unn ke kernay sey rozay ka kiya bachta ho ga? Iss liye jis Allah ke hukam sey halaal chorr rahe hein ussi ke hukam sey haram sey bhi rukk jaein.

"Hazrat Abu Hurraira Razi Allah Anho sey rawayat hai Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya:- Roza dhaal hai le'haaza jab koi roza rakhay to fohash(dirty) batein na karay, be'hooda pann na dikhaye(no shameful acts). Agar koi doosra shakhs roza daar sey gali galoch karay ya jaghray to roza daar keh dey (bhai) main rozay sey hoon(tumhari baton ka jawab nahi doon ga)." (Sahih Bukhari)

Agar koi shakhs koi be'hayayee ya burayee ka kaam kernay lagay aur aisay mein koi aa jaye to wo rukk jata hai ya doosrey lafzon mein wo koi bura kaam tab nahi kerna chahta jab koi dekh raha ho. Ye hum sab ko maloom hai ke Allah hamein har waqt dekh raha hai. Laikin ye hamarey Imaan ki kamzori hai ke ehsaas itna kamzor hai ke hamein burayee se nahi rok sakta. Ghor karein! to roza iss baat ki practice kerwata hai. Aap bhook aur payas sey be'qarar hon aur aisay mein kisi jagah per tanhayee mil jae aur koi dekhnay wala na ho aur wahan per peenay aur khannay ki cheezein bhi hon laikin aap khana aur peenay sey rukk jaein gey. Kiyoon? keh roza toott jae ga. Agarcha koi nahi dekh raha tha laikin aap jantay hein ke Allah dekh raha hai. Kitna shandar ehsaas hai. Iss tarah aap burayee kerna chahtay hein aur wahan koi nahi dekh raha sirf iss waja se rukk jaein keh Allah dekh raha hai. Iss practice ko normal dinon mein bhi jari rakhein aur yaad rakhein har burayee sey rozay ki bijaye Imaan ko khatra hai. Mukhtalif (different) buraiyon sey Imaan kamzor hota hai aur yahan tak keh sometimes insaan Imaan sey mehroom (lost) bhi ho jata hai.

Rozay ki haalat mein kulli kertay waqt Naak mein iss tarah paani dalna jaez nahi keh Halaq tak pohanchney ka khadsha ho:-

"Hazrat Luqeet bin Sabra Razi Allaho Anho sey rawayat hai keh Main ney kaha Ya Rasool Allaho Sal Allaho Alehi Wasallam! wazoo key barey mein mujhe kuch bataiye. Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya wazoo poora kero, ungaliyon ke darmeyaan khalal kero, aur naak mein achi tarah paani dalo, laikin agar roza ho to phir aisa na kero" (Sunan Abu Daud, Jameya Tirmizi)
(yahan ye mat samajh lein ke paani naak mein dalna hi nahi hai)

Qasdan(jan boojh ker) Qae(vomitting) kernay se roza toott jata hai aur iss per qaza wajib hai:-

"Hazrat Abu Hurraira Razi Allah Anho sey rawayat hai Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya:- Jis roza daar ko khud bakhud Qae (vomitting) aye iss per qaza wajib nahi hai albatta jo roza daar qasdan(jaan boojh ker) qae (vomitting) lae wo qaza roza rakhay." (Sunan Abu Daud, Sunan Ibn-e-Maja)

Roza mein Jama'a (relation) kernay sey roza batil ho jata hai. Iss per kuffara bhi hai aur qaza bhi. Roza ka kuffara aik ghulaam azaad kerna ya 2 mahinay key musalsal rozay rakhna ya 60 mohtaajon ko khana khilana hai:-

"Hazrat Abu Hurraira Razi Allah Anho sey rawayat hai ke hum Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam key paas bethay thay keh aik Sahabi aye aur kehnay lagay Ya Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam main halaak ho gaya. Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam ney poocha kiya baat hai? Iss ney kaha main ney rozay ki haalat mein biwi sey sohbat(relation) ker betha hoon. Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney poocha kiya tu aik ghulam azaad ker sakta hai? Iss ney kaha nahin. Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam ney phir daryaft farmaya kiya 2 mahinay ke musalsal rozay rakh saktay ho? Iss ney arz kiya "nahin". Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam ney phir poocha kiya 60 maskeenon(poor people) ko khana khila saktay ho? Iss ney arz kiya "nahin". Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya acha beth jao. Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam thorri der rukay. Hum bhi issi haalat mein bethay thay keh Hazoor-e-Akram Sal Allaho Alehi Wasallam ki khidmat mein khajooron (dates) ka arq laya gaya(arq baray tokray ko kaha jata hai). Nabi-e-Akram Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya masla poochnay wala kahan hai? Iss ney arz kiya main hazir hoon. Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya yeh khajoorein ley aur sadqa ker dey. Iss ney arz kiya Ya Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam kiya sadqa apnay sey ziada mohtaj logon ko doon? Wallah Madina ki sari abaadi mein koi ghar mere ghar sey ziada mohtaaj nahin. Rasool Allah Sal Allaho Alehi Wasallam hans diye yahan tak keh Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam key daant-e-mubarik nazar aanay lagay. Nabi Kareem Sal Allaho Alehi Wasallam ney farmaya acha jao apnay ghar walon ko hi khila do." (Sahih Bukhari, Sahih Muslim)

================================================== =
Attached Images Attached Images

Namaz Main Dil Kiyoun Nahi Lagta